16/10/2026
₹1,635 crore ka flyover, lekin phir bhi 2 KM lamba traffic jam! 🚗
Delhi ke Barapullah Phase 3 flyover ko traffic jam kam karne ke liye banaya gaya tha. Lekin opening ke kuch hi din baad, Sarai Kale Khan ke paas traffic bottleneck ki problem saamne aa gayi.
🚧 8 se 9 lanes ka traffic aage sirf 3 lanes mein merge ho raha hai. Aise mein flyover se gaadiyan toh smoothly nikal sakti hain, lekin aage ka raasta traffic ko handle nahi kar paa raha.
Sawaal ye hai ki kya flyover banana hi kaafi hai, ya poore route ki traffic planning bhi utni hi zaroori hai?
Aapko kya lagta hai? Comment karke bataiye. 👇